Berozgari - Sirf Naukri Ka Masla Nahi, Himmat Ka Imtihan Hai
Berozgari - Sirf Naukri Ka Masla Nahi, Himmat Ka Imtihan Hai
Assalam-o-Alaikum!
Berozgari aaj Pakistan ka sab se bara masla hai. Har ghar me koi na koi naujawan degree hath me liye naukri dhoond raha hai.
Lekin sach ye hai ke berozgari sirf naukri na milne ka naam nahi hai. Ye umeed tootne ka naam hai. Jab naujawan bar bar apply karta hai aur jawab nahi aata, to wo khud ko nakam samajhne lagta hai.
Hamein ye samajhna hoga ke:
1. Degree hi kaafi nahi hai: Aaj ke dor me skill chahiye. Computer, Safety Course, Driving, Electrician, Plumber, Welding - ye skills naukri dilate hain.
2. Sirf Sarkari Naukri ka intezar mat karein: Private, Gulf, Europe aur Online kaam bhi izzat wali rozi hai.
3. Chhota kaam chhota nahi hota: Jo kaam halal hai, wo chhota nahi hai. Kaam se hi bara kaam milta hai.
4. Himmat na harein: Aaj nahi to kal, mehnat karne wale ko us ka phal zaroor milta hai.
Meri is Blog ka maqsad sirf ye hai ke aap ko sahi, tasdeeq shuda aur direct jobs ki maloomat milti rahe, ta ke aap ko kisi agent ke dhoke se bachaya ja sake.
Yaad rakhein, berozgar hona aap ki ghalti nahi hai, lekin koshish chor dena ghalti hogi.
Allah aap sab ko halal aur izzat wali rozi ata farmaye. Ameen.
- BeRozgari Ki Rahnumai
Comments
Post a Comment